Kya rakha hai pyaar mein ?
Kya rakha hai pyaar mein?
Pucho usse jo intezar mein tha kabhi
Kahega vo bhi yhi ki
Kya hi rakha hai pyaar mein.
Kya rakha hai pyaar mein ?
Pucho usse jo kabhi phoolon ko toda karta tha
Aur ab unhe hath lgakar chod deta hai
Kya rakha hai pyaar mein ?
Pucho usse jo aaj bhi aksar raatko pyaar ke baarein mein sochta hai
Kya rakha hai pyaar mein ?
Pucho usse jo tumhare khayalon mein aata hai
Kya hi rakha hai pyaar mein
Barbaad aashiq ko dekha toh socha
Kya hi rakha hai pyaar mein ?
Us hasne vale insaan ko rote dekha toh socha
Kya hi rakha hai pyaar mein ?
Usne kaha usse pucho jo pyaar karta tha
Ki kya rakha hai pyaar mein?
Usse pucho jo intezar aaj bhi karta hai
Kya rakha hai pyaar mein ?
Pyaar
Pyaar jo rakha hai pyaar mein
Hazaro ki bhid se ek awaaz aayi
Sabkuch toh rakha hai pyaar mein
Sabko toh rakha hai pyaar ne.


Comments
Post a Comment